Dhyaan kyon nahi lagta

Dhyaan Kyon Nahi Lagta? Sahi Tarika Aur Patanjali Yog Sutra

Q1. Kya bina kisi mantra ke dhyaan lagaya ja sakta hai?

Ans: Bilkul. Dhyaan ka matlab hai Total Awareness (Poori Jagrukta). Aap apni saasoon par, ya kisi rozmarra ke kaam (painting, writing, cooking) mein poori tarah doob kar bhi dhyaan laga sakte hain.

Q2. Sthira Sukham Asanam ka kya matlab hai?

Ans: Iska matlab hai ki jis posture mein aap bina dard ya bechaini ke, sukhpurbak aur sthir hokar kuch der baith sakein, vahi aapke liye sahi asan hai. Bas spinal cord seedhi honi chahiye.

Q3. Kriya Yoga kya hai?

Ans: Maharishi Patanjali ke anusaar, Madhyam shreni ke sadhakon ke liye teen cheezein milkar Kriya Yoga banti hain: Tap (Discipline), Swadhyay (Self-study/Scriptures), aur Ishwarpranidhaan (Surrender to Supreme Power).

Leave a Comment

आपका ईमेल पता प्रकाशित नहीं किया जाएगा. आवश्यक फ़ील्ड चिह्नित हैं *